Byawala Seva ek ati pavitra, prem se bhari hui seva hai jo Shree Radha Ballabh Lal Ju Ji aur Radha Rani Ji ke divya vivaah utsav k roop mein manai jati hai
Ye seva bhakt tab karte hain jab:
1️⃣ Contact karna
Aap apni ichha, manokamna ya koi bhi special occasion batate huye hume contact kar sakte hain.
2️⃣ Tithi / Date Book karna
Hum aapke anukul ek shubh tithi ka nirdharan karte hain, jo seva ke liye uttam hoti hai.
3️⃣ Seva ki Prakriya
Tithi tay hone ke baad hum aapko pura process batate hain—
Vyavastha, samagri, samay, aur seva ke sabhi charan prem aur maryada ke saath anusthit kiye jaate hain.
4️⃣ Seva ka Pavitra Anubhav
Seva ke din bhakt mann laga kar, prem se Yugal Sarkar ko smaran karte hain aur unki kripa ka anubhav karte hain.
Man ko asim shanti aur anand milta hai—jaise Radha Krishna swayam apka haath pakad kar apko apne utsav mein shamil kar rahe hon.